How to read Piano Notes| Piano Notes Kaise Padhe
How to read Piano Notes | Piano Bajana Kaise Sikhe | Piano Version | Music Notes Names
Piano Bajana Kaise Sikhe
Music Notes Names
- Namskar mitro, Hum Aapka bahut bahut swagat karte hain hamare blog main jiska naam hain Piano Version.
- Dosto agar aap Piano sikhna chahte ho to sabse pehle aapko piano ke notes ko padhna sikhna padega So aaj ka hamara topic hain how to read piano notes yani ki piano notes ko kese padhe aur yahi pe piano bajan kaise sikhe (how to play piano) ka pehla chapter suru hota hai.
- Requirment ( Jaruri chije )
- Sabse pehle hum aapko ye bata de ki piano notes ko padhne ke liye jaruri hai piano lekin agar aapke paas piano nahi hain to 1 smart phone to hona hi chahiye jisme piano ki koi bhi application chal sakhe.
- Piano Apps
- ORG
- Perferct Piano
- Real Piano
*ORG mera pasandita piano app hai me vahi use karta hu
- Western Notes or Music Notes Name
- Previous Octave – *C *D *E *F *G *A *B
- Middle Octave – C D E F G A B – C# D# F#G# A#
- Next Octave – C* D* E* F* G* A* B*
- Agar aap piano sikhne main beginner ho to sabse pehla question aapke dimag main aayenga ki ye octave kya hai to octave ke bare me kahe to itna samjo ki 1 octave main hi sare ke sare 7 sur aa jayenge or agar aap yain kahonge ki 1 piano main kitne octave hai to answer hai wo aapke piano pe depend karta hain matlab ki agar aapka piano bada to jyada octave aur chhota to kum octave, octave ka image niche hain usse aapko jyada achche se clear hoga,...
- Hindi Notes or Music Notes Names
- Jaise western notes hain vese hi hindi notes bhi hain hindi notes matlab usme hamare 7 sur hain,..
- Previous Octave - *सा *रे *ग *म *प *ध *नि
- Middle C Octave - सा रे ग म प ध नि सा - रे ग म ध नि
- Next Octave - सा* रे* ग* म* प* ध* नि*
- Hindi Notes western notes ke jaise hi piano pe hote hain jo niche ki photo se aapko pata chalega
- To hum ye aasha rakhte hain ki aapko abhi pata chal gaya hoga ki piano main notes kese padhonge aap aur agar koi bhi dikkat aa rahi hain to aap comment main likh dijiye hum aapki jarur help karenge.
- Aur agar aapko hindi song pe piano bajana sikhna hai yato hindi songs ki piano notes chahiye to stay tuned. Iss blog ke url ko yad kar dijiye yato likh dijiye kyunki hum bahut hi jald hindi songs ke piano notes rakhne vale hain aur hamari channel bhi hain youtube pe jisse aap visual learning kar paonge(Channel ka naam bhi Piano Version hi hain) ek jalak hamare channel....
- Enjoy Playing Piano and stay connected to know more about how to read piano notes or Music Notes Names means Music Notes On Piano
- This blog is providing 8 music notes knowledge, keyboard notes knowledge and notes for piano knowledge.
- Thank You
Comments
Post a Comment
If any doubt let me know!!!